Dec 14, 2010

Baharain Weekly 7

28/03/2010

Salaam Namaste,
Bahrain Weekly ke edition 7 mai aapka swaagat hai, Is weekly ke Caravan mai yeh ek aur Josh se bhara hua Joshila edition hai. Yahaan ka Mausam ekdum Mast hai, aur meri Aarzoo hai us desh ka musam bhi achha ho Jis Desh Mein Ganga Behti Hai . Neha achi hai aur Hamesha ki tarah Khoobsoorat bhi. Abhi tak toh maine Elaan nahi kiya ki Maine Pyaar Kiya aur abhi toh woh kehne mai Waqt legega lekin Baaton Baaton Mein yeh zaroor kehdunga ki Tumse Acha Kaun Hai aur agar koi Zehreela Insaan beech mai aaya aur koi Chotti Si Baat bhi iske khilaaf kahi, to Kasam Paida Karne Waale Ki us Dushman ka mai Murder kardunga.

Hey Ram ! Mujhe Pardes mai aake bhi ek Indian ladki se Ishq ho jaayega Socha Na Tha ab pata nahi yeh Silsila bhi kab tak chalega, abhi toh mai usko theek tarah se jaanta bhi nahi, Waisa Bhi Hota Hai ki Insaan Shaadi Ka Laddoo khaa toh leta hai Lekin phir kehta hai Shaadi Karke Phas Gaya, aur Shaadi Se Pehle hi Khushi thi, kyunki kaam chahe Hum Dono, Kareeb karte ho lekin hai toh Ajnabee. Isiliye Filhaal Tehzeeb se pesh aaunga jab tak aisi situation na aa jaaye ki Hote Hote Pyaar Ho Gaya, vaise agar Mohabbat ki baat ko rahi hai toh Zahra ke liye kehna chahunga ki Tumko Na Bhool Paayenge , aakhir hai toh woh mera first Love thi, ok atleast Bahrain mai aane ke baad toh thi. Ab hum dono Do Raaste par hai toh kya hua? Life Mai Kabhie Kabhie ho jaata hai, we are supposed to forget it and say Jaane Bhi Do Yaaron. Life mai Kabhie Khushi Kabhie Ghum toh chalta rehta hai lekin inspite of all that Zindagi Rocks!!!!

Aaj kal toh bus jutaa hua hun koi Plan banaane mai Neha ke Pitaah ko pataane ka aur kehne ka unse ki Suno Sasurji, Papa Kehte Hai ki mai bahut Himmatwaala aur Namak Halal type ka ladka hun, to aap please Mughal-e-Aazam ki tarah hamaare Prem mai rukaawat na daalein aur isko green Traffic Signal dikhaa de aur agar zyaada Style maara toh Excuse Me bolke ek kaan ke neeche bajaaunga aur bolunga Mai Aisa Hi Hun, lekin usse pehle to Neha ko pataana hai, jo ki I am sure Ahista Ahista ho jaayega, Plan of action yeh hai ki pehle uska Aitbaar jeetna hai, taaki baad mai Aitraaz na kare, Kyunki Aksar Anari log Aparichit hone ke bawjood propose maar dete hai aur phir ladki ki Family se Daud te rehte hai. Par apun aisa Funtoosh nahi hai, Gupt tareeke se chorri se Dil mai apna Gharonda basaayega aur phir bolega Haan… Maine bhi pyaar kiya hai, dekha phir ki naa Baazigar waali baat, baaki akkhi Bahrain Hare Rama Hare Krishna karti reh jaayegi aur mai jaaunga Neha ke saath Honeymoon Travels Pvt Ltd. main Holiday pe.

Chalo bahut ho gayi meri Love Story, yaar is Thursday, Swades ki badi yaad aayi, hamaara cab driver aaya nahi, to sab ko khud jaana tha, to maine apne collegues se pocha ki woh kaise jaayenge jawaab aaya Na tum Jaano na hum maine kahaan Dosti ki naate mujhe bhi saath le lena varna mai Bahrain mai bhatakta Musafir ho jaaunga kyunki yahaan mera kissi ke saath Parichay nahi hua, lekin Mere Apne collegues mujhe saath liye bina Nau Do Gyaarah ho gaye, Kyun Ho Gaya Na Thassa kahaa maine apne aap se, Mujhe to bahut bada Sadma lagaa aur mai Sadak pakad ke Chalte Chalte ghar pahuncha, agar Chandigarh ya New Delhi hota to ek Pukar pe mere saare Dost Saath Saath lene aa jaate mujhe, bus ab toh unki Yaadein reh gayi hai. Vidhaata mujhe Shakti de taaki mai Nishchay le sakun ki in sab ko Majboor kar dun ki yeh aayen mere paas aur Kahein Mujhse Dosti Karoge

Bade buzurgon ko pranaam,

Ladkon ko "hi"

Ladkiyon ko pyaar

HUM TUM milenge agle hafte

Tak tak Masti maaro

Is weekly Mai itna hai, aur vaise bhi mere paas kuch do hi films ke naam baaki bache hai,

Salaam-e-ishq,

Rahul

No comments: