Namaste India!!!
Haylo and welcome to the second edition of Bahrain Weekly, pichla hafta kaafi exciting thaa,
maine yahaan koi aur naye dost nahi banaaye aur Karan Johar and Farah Khan KBC mai aaye!!!!
Mere mama ke bachon ko main maine karaaya smile, sirf kuch din reh gaye hai tankhwaa aane ko phir aayega mera mobile
ek nayi ladki ne office join kiya, woh ladki hai badi firey, mai seedha letter pe aata hun, band karta hun shaayari
Haan, to ladki ka naam hai ZAHRA, aur woh bahut zyaada pyaari dikhti hai, mai to kal jaa raha hun masjid convert hone, ab mai Raùl se, Mohd. Raùlla Khan ban jaaunga, pakdunga ZOHRA ka haath aur kahunga KABUL HAI, KABUL HAI, KABUL HAI. haan haan Afghanistan ka capital KABUL hai.
Usse mulaqat kuch yun hui, ek din mai apne ahem!! ahem!! Laptop, ok I'll repeat LAPTOP (company provided) pe kaam kar raha tha, aur woh mere desk taak aayi aur boli "ASLAAM WAALIK HUM", main achaanak se hosh mai aaya aur maine kahaa "WAALIK HUM SALAAM", uske baad usne kuch bolna chaalu kiya arabic mai for about 30 seconds, aur mai sunta raha.. sunta raha, mere dilse Raùl ki awaaz aayi "HAYE KYA PYAARI BAATEIN KARTI HAI", mere alter ego FREDDY ne kahaa "ABBE LEVEL PE AAJA YEH MUSALMAANO KI DHARTI HAI".
achanak se usne bolna band kiya aur mujhe pata laga ki usne ek question se end kiya hai... Maine kahaa "YEAH!!!" not knowing what i was saying YEAH for... uske baad wo ek sad saa "ooooooh" bolke Bye boli aur chali gayi, and once again I was guessing ki usne kya poocha hoga... thoughts crept into my mind ki kahin usne yeh toh nahi poocha ki "ARE YOU MARRIED??" maine kahaa "YEAH" oh what a stupid fool I am... i could have just said NO, but then what if i said no maybe her question was "WILL YOU TAKE ME OUT FOR A DATE?" Shit!!! I could have just said I DONT KNOW ARABIC... toh kya hua... KAMAL HASSAN ko bhi toh Hindi nahi aati thi film "ek duje ke liye" mai... phir bhi Rati Agnihotri se pyaar hua tha.. lekin dono end mai marr bhi gaye the... Oh god!!! sab kuch hi negative. Khair aaj kal jamke mai ARABIC seekhne ki koshish kar raha hun, THANKYOU ko SHUKRAAN aur CONGRATS ko MABROOK kehte hai, yeh yaad ho gaya hai... pata hai ARABIC aur BENGALI bilkul same hai languages... kyunki dono hi mujhe samajh nahi aati!!!
Aaj kal ek aur naya time pass mila hai yahaan... Radio... hmm yahaan FM bajta hai, ek hi station hai VOICE FM naam ka aur do RJ hai, Juhi aur Paresh, dono bahut achi Hindi bolte hai, lekin gaane.. bade ajeeb chalaate hai... Baharin mai rehkar toh agar HIMESH RESHAMMIYA ya ANU MALIK ka bhi gaana chalta hai, toh Hindi ke words jaise hi kaano pe girte hai toh aisa lagta hai KISHORE KUMAR ya MOHD RAFI gaa rahe ho!!!. lekin bechaare Rj's ko hats off, people call them with Broken English and a even more broken hindi but they are still managing the show, this valentines day pe ek bande ne Juhi ko phone kiya, aur bolna shuru kiya, south Indian tha yeh uska MEYRA (Mera) naam KRISHNANKUTTY hai sunke hi pata chal gaya, phir kehta MUJHEY YUCK (ek) LAADKI se pyaar tha, FIRST ATTRACTION MAI HI LOOK HO GAYA.
tab Juhi boli acha toh aapko FIRST LOOK MAI HI ATTRACTION ho gaya, haina??? woh bola Haan haan right!!!
Maine yeh apni cab mai suna tha, aur khaali mujhe hi ehsaas hua, ki KRISHNANKUTTY ne bolne mai galti ki hai, baaki sab meri cab mai bhi mahaan hai, gaana chalta hai "MELA DILON KA AATA HAI EK BAAAAAR AAKE CHALA JAATA HAI" tab bhi aise khush hote hai aur waah waah karne lagte hai jaise MIYA TANSEN ke khaandaan se hai aur RAAG BHAIRAVI sun liya hai. har gaane pe hi khush ho jaate hai, aur sab peeche mud ke mujhe dekhte hai ( i am always sitting on the last seat) aur kehte hai "BHADHIYA GAANA HAINA??" I force a smile and say "mera favourite hai." I tell you sometimes its really difficult being a people's person.
Is hafte to aur kuch khaas hua nahi, I hope agle hafte ho taaki mujhe content mil jaaye BAHRAIN WEEKLY ke liye
Arz kiya hai...
Roz Office se ghar jaata hun, aata hun ghar se office
Zarra Gaur farmaaiye
Roz office se ghar jaata hun, aata hun ghar se office
Mail ka intezaar kijiye agle hafte ak, tab tak ke liye khudahaafiz
Mail be back,
Raùl
No comments:
Post a Comment