Dec 8, 2010

Baharain Weekly 1

14 Feb 2007

Haylo kya haal hai???

I hope India is rocking a usual, yahaan to valentines day par bhi koi DHOOM nahi hoti, vaise mujhe koi khaas farak nahi padha, mai to apne manoranjan ka sadhan dhood hi leta hun, jo i is waqt apne rote hue mama ke bachn ko aur rulaana hai. he! he! he! he! he! he! .Mai yahaan bahut mastiyaan maar raha hun!!! I was wrong about this country, its oh so koool country aint as cool as India though, am surrounded by different kinds of people most of them from Kerala,bahut mazaa aata hai jab alag alag log aake kuch bol ke jaate hai apni bhaasha mai aur phir baad mai tum guess karte rehte ho ki kya keh gaya hoga!!! ek din mai apne office mai baitha hua tha, ek motaaaa, bahut zyaada motaaa sheikh meri taraf aaya aur mujhse poochne laga
Hamam??
ab uski tone se yeh to pata lag gaya ki woh kuch pooch raha hai, lekin kyaa??? maine usko bola "Sorry!!"
wo phir kehta "hamaam??"
mera dil kiya mai bhi boldun Lifeboy ya Cinthol, lekin maine usko apna most blank look diya aur tab saale k samajh aaya ki mujhe samajh nahi aaya phir usne tameez se Hamam ka english word bola... kehta "Bathroom??"
To woh mujhse bathroom ka address pooch raha tha, tab mujhe samajh aaya ki Hamaam bole to Toilet!!!
to us din maine do cheezen seekhi
1) Hamaam ka matlab toilet hota hai
2) aur har snack namkeen nahi hota (aiven hi)
acha ab yahaan ke log kab mazaak kar rahein hai aur kab kab serious hai yeh bhi pata nahi chalta, ek aur kissa sunaata hun, mai bus mai ghar jaa raha tha aur mere haath mai ek lifaafa tha jisme ki 4 ships ki photo thi!!! ab mere right side mai ek bahrain ka localite baitha tha, kuch der tak toh woh mere lifaafe ko ghoorta raha!!! phir mujhse ship ki taraf point kake poochne laga "Tumhaara hai??" maine kahaa "kyaaa?"
"Tumhaara hai??"
"Lifaafaa?? haan mera hi hai"
"Nahi, yeh ship. Yeh ship tumhaara hai?"
Maine uski taraf smile kiya, acknowledge karne ke liye ki woh mazaak kar raha hai but he was not smiling at all he said "Bataao, yeh ship tumhaara hai?"
"nahi. mera nahi hai"
"ooooooh achaaa!!"
kehke woh chup ho gaya!! mujhe aaj bhi nahi pata chala ki woh aadmi paagal tha ya meri jaan bhoojh ke le raha tha
ab office mai jo Bahraini kaam karte hai, woh itne gay guzre hai ki ek Gandaa, sabse gandaa sa joke maarenge aur aise hasenge jaise Johnny Lever ne item kiya ho!!! Mujhse ek din mera ek collegue who is a Bahraini poochta
"how are you"
I said "I am fine"
phirse pochta "how are you?"
"I am fine"
"How are you"
"i am fine"
"How are you"
I said "Thats enough"
chalo theek hai Funny tha, lekin itna bhi kya, ek doosra collegue hamaari conversation sunke saala itna hassaaa jaise usko FITS lag gaye ho... can u believe it woh hasta hasta kursi se neeche gir gaya!!!
to jab mai bore ho raha hota hun ghar pe ya samndar ke kinaare... mai yehi sab sochta hun, aur akela baith kar hi hus leta hun, yeh saare namune mujhe hi kyun takarte hai... mere experiences ke upar to kitaab chapp sakti hai!!!
Chalo will keep you updated with my Bahrain Weekly
chao, mail me back
RaĆ¹l

No comments: